Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 8 Subject: Duniya aor Aakhrat Related Surahs: 99. Surah Zilzaal, 100. Surah Aadiyaat and 101. Surah Qari'ah
- Insan ko duniya ke asish aor ziyadati ke hars ne ghafil kiya howa hai.
- Maal / dolat /duniya ki talab / hawas / lalach, insaan ko ghafil kar deti hai apne Rabb se.
- Yahan tak ke insaan qabar tak aa pochta yani mar jata.
- Yani ke qabar ki matti se e insan ka hawas mit'ti hai.
- Ilm-ul-Yaqeen: Woh jis se natija ya andaza lagaya ja sakta ho. Maslan dhuwaan dekha to kaha k aag lagi. Aag asal mein dekhi nai lekin dhuwaan se andaza laga liya.
- Ain-ul-Yaqeen: Woh jisko apne aankhon se dekha jaye. Maslan aag lagi hai aor dekh li ho apni aankho se.
- Haq-ul-Yaqeen: Woh jisko khud mehsoos kiya jaye. Maslan aag lagi ho, dekhi bhi ho lekin uske baad bhi 100% sure hony ke liye usme ungli daal kar check bhi kar liya ke waqai asal mein aag hai ya koi video graphic.
- Insan ko sab pata lag jaye ga.
- Abhi to insaan ko kash ilm-ul-yaqeen hojaye Aakhrat ke bare mein.
- Har ek ko Jahannam dikhayi jaye gi.
- Jab insan ko Jahannam dikhayi jaye gi to usko Ain-ul-yaqeen bhi hojaye ga.
- Phr poocha jaye ga ke tum ne Allah ki di hui ne'maton ka shukr kese ada kiya?