Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 3 Subject: Kambyabi aor khasare ka raaz Related Surah: 104. Surah Humaza
- Is surah mein hamein asal kamyabi aor khasare ka bataya gaya hai.
- Jo is surah mein bataye huey 4 kamon par amal kare ga wohi asal kamyabi pa le ga aor khasare se bach jaye ga.
- Poori insaaniyat ki tareekh (zamanah) ka yahan matlab liya ja sakta hai.
- Ya phr insaan ki apni zindagi ka zamana/waqt bhi matlab agar lein to koi harj nahi.
- Insan galtiyon ka dher hai. Woh khasare mein hai agar hisab kitab kiya jaye to.
- Imaan laaye.
- Naik amal karay.
- Haq ke naseehat karay.
- Aor sabar ke talqeen karay.
- Allah par, uske rasool, malaik aor aakhrat par imaan le aye (Iman).
- Phr Allah ke batae huey in baaton par amal kare (Naik Amal).
- Na sirf khud balqe woh haq/Islam ki baat dusron tak pohchaye (Haq ki talqain).
- Jab yeh kam kare ga to museebatein aayen gi. Unka sabar se kaam le (Sabar ki talqain).
- Yehi asal kamiyabi hai - yehi khasare se bachne ka wahid tareeka hai.
- Allahuma Rabbana Jaelina Minhum