Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 15 Subject: Acchai aor burai ke darmiyan farq, burai ka anjam Related Surah: 92. Surah Lail
- Yeh surah nubuwwat ke shruati dinon mein naazil hui thi jab Islam ki mukhalfat barh gayi thi.
- Is surah mein Allah acchai aor burai ka faraq batata hai.
- Aor sath me Makkah k Quresh ko khabardar bhi kiya jaa raha k jis tarah Qoum-e-Samood ne apni sarkashi mein aa kar apne Rabb ko jhutlaya aor baddi k rasty par chaly, agar tum log bhi apni harkaton se baaz nai aye to Allah ko koi darr ni tum logon ko fanaa karke koi aor qoum le aye jese ke pehle bhi ho chuka.
- Suraj ki.
- Chaand ki.
- Din ki.
- Raat ki.
- Aasmaan ki.
- Zameen ki.
- Insaani nafs ki.
- Nafs k andar naiki aor badi karne ka shaoor bhi daal diya gya.
- Jisne apne nafs ko paak kar liya wo kaamyab howa.
- Aor jisne usko gunahom mein dhansa diya wo naamurad howa.
- Kamyab banda wohi hai jo nafs par mehnat kare usay sanware, paak kare.
- Jesa ke Allah ne insaan ko naiki aor badi ka shaoor diya h lehaaza ab insaan ko chahye ke wo us shaoor ko istemal krke apne nafs ko pak kare aor kamyabi paa le.
- Hazrat Salih AS ki qoam.
- Allah ne ek oontini ka khaas khayal krne ko kaha tha.
- Un zaalimon ne sarkashi mein aa kr us ko maar dala.
- Apne nafs ko ghira diya.
- Phr Allah ne un par azaab nazil kiya.
- Allah ko kisi ka khof nahi.